Hazaron Sal Chalne Ki Saza Hai
hazaron sal chalne ki saza hai
bata ai waqt tera jurm kya hai
ujala kaam par hai pau phaTe se
andhera chain se soya hua hai
hawa se laD rahe bujhte diye ne
hamara zehn raushan kar diya hai
wo suraj ke gharane se hai lekin
falak se chandni barsa raha hai
badan par raushni oDhi hai sab ne
andhera ruh tak phaila hua hai
suna hai aur ek bhuka bhikari
KHuda ka nam lete mar gaya hai
wahi hum hain nai shaklon mein 'anjum'
wahi sadiyon purana rasta hai
(765) Peoples Rate This