Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega
mere mazar pe aa kar diye jalaega
wo mere baad meri zindagi mein aaega
yahan ki baat alag hai jahan-e-digar se
main kaise aaunga mujh ko agar bulaega
mujhe hansi bhi mere haal par nahin aati
wo KHud bhi roega auron ko bhi rulaega
bichhaD ke is ko gae aaj tisra din hai
agar wo aaj na aaya to phir na aaega
faqih-e-shahr ke bare meri rae thi
gunahgar hai patthar nahin uThaega
isi tarah dar-o-diwar tang hote rahe
to koi apne liye ghar nahin banega
hamare baad ye dar-o-rasan nahin honge
hamare baad koi sar nahin uThaega
(814) Peoples Rate This