Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8a46dfed4c6739f1e7ebc80524479afb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai - Anjum Khayali Poetry In English - Darsaal

Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai

koi tohmat ho mere nam chali aati hai

jaise bazar mein har ghar se gali aati hai

teri yaad aati hai ab koi kahani ban kar

ya kisi nazm ke sanche mein Dhali aati hai

ab bhi pahle ki tarah pesh-raw-e-rang-o-sada

ek munh-band si be-rang kali aati hai

chal ke dekhen to sahi kaun hai ye duKHtar-e-raz

roz-e-awwal se jo bad-nam chali aati hai

ye mere karb ka aalam rahe yarab aabaad

is zamin se bu-e-aulad-e-'ali' aati hai

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai In English By Famous Poet Anjum Khayali. Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai is written by Anjum Khayali. Read famous Poem Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai for youth and Student by Anjum Khayali. Free Download Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai in PDF.