Yahi Tum Par Bhi Khulna Hai
achanak aaj mujh ko raste mein mil gaya tha wo
tumhaara nam leta tha
mujhe kahne laga, anjum
KHuda-lagti kaho, tum ne bhi is mah-ru ko dekha hai
tumhaari aankh bhi to husn ka idrak rakhti hai
tumhein bhi aashnai hai ki KHadd-o-KHal kin kin zawiyon se
husn ki tashkil karte hain
to kya jo haal hai mera bhala kuchh aur hota tha?
mujhe to us pe marna tha mujhe to KHud ko rona tha!
main us ki baat sun kar hans diya
is shaKHs ne us shaKHs ko kis aankh se dekha!
mujhe to yun laga jaise koi diwan-e-ghaalib ki munaqqash jild ki tarif karta ho
(847) Peoples Rate This