Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya
ye kaisi baat mera mehrban bhul gaya
kumak mein tir to bheje kaman bhul gaya
junun ne mujh se taaruf ke marhale mein kaha
main wo hunar hun jise ye jahan bhul gaya
kuchh is tapak se rahen lipaT paDin mujh se
ki main to samt-e-safar ka nishan bhul gaya
KHumar-e-qurbat-e-manzil tha na-rasi ka jawaz
gali mein aa ke main us ka makan bhul gaya
har ek badalti hui rut mein yaad aata hai
wo shaKHs jo mera nam-o-nishan bhul gaya
kuchh aisi baat kabutar ki aankh mein dekhi
uqab KHauf ke mare uDan bhul gaya
main sar-ba-kaf sar-e-maqtal kuchh is ada se gaya
ki mera dushman-e-jaan aan-ban bhul gaya
qabail aaj bhi shir-o-shakar nazar aate
KHatib-e-shahr magar wo zaban bhul gaya
zamin ki god mein itna sukun tha 'anjum'
ki jo gaya wo safar ki thakan bhul gaya
(727) Peoples Rate This