Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere
yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere
tumhaare shahr ke sab log to dushman nahin mere
talash-e-ahd-e-rafta mein ajaib-ghar bhi dekhe hain
wahan bhi sab hawale hain kahin tere kahin mere
zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi
ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere
falak had hai ki sarhad hai zamin madan hai ya madfan
mujhe bechain hi rakhte hain ye wahm o yaqin mere
main tere zulm kaise hashr tak sahta chala jaun
bas ab to faisle honge yahin tere yahin mere
achanak kis tarah aaKHir ye duniya chhoD sakta hun
KHazane ja-ba-ja madfun hain zer-e-zamin mere
to jab mere kiye par hai mera anjam phir anjam
ye mazi haal mustaqbil to hain zer-e-nagin mere
(864) Peoples Rate This