Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati
tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jati
ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jati
yahan ahd-e-hukumat ijz ka kis taur aaega
ki taj-o-taKHt ki fitrat se sultani nahin jati
bujhe suraj pe bhi aangan mera raushan hi rahta hai
dahakte hon agar jazbe to tabani nahin jati
muqaddar kar le apni si hum apni kar guzarte hain
muqaddar se ab aise haar bhi mani nahin jati
agar aata hun sahil par to aandhi gher leti hai
samundar mein utarta hun to tughyani nahin jati
ye kaise khurdure mausam guzar aaya hun main 'anjum'
ki KHud mujh se hi meri shakl pahchani nahin jati
(757) Peoples Rate This