KHak Ka Rizq Yahan Har Kas-o-na-kas Nikla
KHak ka rizq yahan har kas-o-na-kas nikla
ye badan sinchne wala baDa bebas nikla
wo jo karta tha sada KHirqa-e-darwesh ki baat
wo bhi darbar mein warafta-e-atlas nikla
zarfishan hai meri zarKHez zaminon ka badan
zarra zarra mere punjab ka paras nikla
meri hairat ko bhi tariKH mein mahfuz karo
mere ahbab mein har shaKHs buroTas nikla
titliyan pyar ki thak-haar ke lauT aai hain
ghuncha-e-chashm hi us shaKHs ka be-ras nikla
ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazalan 'anjum'
waqt paDne pe to ye fil ka aankas nikla
(838) Peoples Rate This