Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1e96e2785b1f6b1712c7927262ef7b3e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana - Anjum Khaleeq Poetry In English - Darsaal

Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana

kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana

bas ab hum se nahin hota mukarte hi chale jaana

main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun

tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana

yahan aansu hi aansu hain kahan tak ashk ponchhoge

tum us basti se guzro to guzarte hi chale jaana

meri KHatir se ye ek zaKHm jo miTTi ne khaya hai

zara kuchh aur Thahro is ke bharte hi chale jaana

wafa-na-ashna logon se milna bhi aziyyat hai

hue aise to is dil se utarte hi chale jaana

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Kahan Tak Aur Is Duniya Se Darte Hi Chale Jaana in PDF.