Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a35e3db3309b2edb4bfe38c7d57a46a5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega - Anjum Khaleeq Poetry In English - Darsaal

Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega

jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega

is dil ki yurishon ka tasalsul na jaega

KHemon se ta-furaat jo dariya-e-KHun hai ye

us par se maslahat ka koi pul na jaega

us ko guman nahin tha ki ahd-e-KHizan mein bhi

ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaega

ye abr-e-agahi jo barasta raha yunhi

miTTi ka ye wajud mera ghul na jaega

girta rahega yunhi balaon ka aabshaar

jab tak ghubar-e-qalb-o-nazar dhul na jaega

wo shaKHs to KHudai ke dawe pe tul gaya

is had pe hum samajhte the bilkul na jaega

bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein

ye teri be-ruKHi ye tammul na jaega

'anjum' nigar-e-zist ko phir chahiye wahi

ek sar jo KHwahishon ke ewaz tul na jaega

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Jab Tak Fasil-e-jism Ka Dar Khul Na Jaega in PDF.