Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae
har sher se mere tera paikar nikal aae
manzar ko haTa kar pas-e-manzar nikal aae
ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko
shaKHon se mahakte hue zewar nikal aae
is bar bulawe mein kisi mah-jabin ke
wo zor-talab tha ki mere par nikal aae
ye wasl sikandar ke muqaddar mein nahin tha
hum kaise muqaddar ke sikandar nikal aae
shab aai to zulmat ki mazammat mein sitare
diwar-e-falak toD ke bahar nikal aae
us baat ka aandhi ko guman bhi nahin hoga
lo ek thi fanus bahattar nikal aae
ilham ka mausam utar aata hai zamin par
basti mein agar ek suKHnawar nikal aae
un sang-zanon mein koi apna bhi tha shayad
jo Dher se ye qimti patthar nikal aae
pindar-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-iKHlas
duniya ke muqabil mere lashkar nikal aae
kuchh soch ke ummid-e-wafa bandhte 'anjum'
chashme ki jagah kaise samundar nikal aae
(997) Peoples Rate This