Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna
bite hue lamhat ko pahchan mein rakhna
murjhae hue phul bhi gul-dan mein rakhna
kya jaanen safar KHair se guzre ki na guzre
tum ghar ka pata bhi mere saman mein rakhna
kya din the mujhe shauq se mehman bulana
aur KHud ko magar KHidmat-e-mehman mein rakhna
kya waqt tha kya waqt hai is soch se hasil
chhoDo jo hua kya use mizan mein rakhna
insan ki niyyat ka bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkan mein rakhna
pursish hai bahut saKHt wahan fard-e-amal ki
kuchh nat ke ashaar bhi diwan mein rakhna
muKHlis ho raho Toka hai kis ne tumhein 'anjum'
raftar-e-zamana bhi magar dhyan mein rakhna
(804) Peoples Rate This