Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya
ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya
ki KHud hi apne kiye ka hisab dekh liya
ye nasl nasl masafat bahal rahi hai yunhi
sarab jagte sote mein KHwab dekh liya
dilon ki tirgi dhone ko log uThe hain jab
chhaton par utra hua aaftab dekh liya
saron se taj baDe jism se abaen baDi
zamane hum ne tera intiKHab dekh liya
wo faKHta jise lana tha amn ka paigham
uDi nahin thi ki us ne uqab dekh liya
kabhi wo khul ke kabhi sarsari mila hum se
kabhi hilal kabhi mahtab dekh liya
kitab paDhne ki fursat yahan kise 'anjum'
bahut hua to faqat intisab dekh liya
(868) Peoples Rate This