Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5d50789fa917d893c8d4ff3afd66ed73, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai - Anjum Khaleeq Poetry In English - Darsaal

Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai

ab shahr mein aqdar-kushi ek hunar hai

fan jurm hai mear-kushi ek hunar hai

dushman se to kya haq-e-adawat ka gila jab

yaron ke liye yar-kushi ek hunar hai

kya kya hai nadamat unhen ab apni rawish par

kahte the jo kirdar-kushi ek hunar hai

jis daur mein ho lafz ki hurmat ki tijarat

us daur mein afkar-kushi ek hunar hai

KHatir se jo karna paDi kaj-fahm ki taid

lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai

hairat hai ki wo fan ke parastar hain 'anjum'

jin ke liye fankar-kushi ek hunar hai

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Ab Shahr Mein Aqdar-kushi Ek Hunar Hai in PDF.