KHud-kushi Ka Alamiya
motor ke pahiye bijli ke khambe pe chand chhinTe kuchh
chikni saDak pe dur tak ek surKH si lakir
footpath pe kuchh ja-ba-ja dhabbe siyah o surKH
nali ke gadle pani ke sine pe chand dagh
baundary-wall par bhi kuchh spot khurdure
chehron pe rahgiron ke na-KHush-gawar naqsh
mahaul mein ek lamha ko be-nam sa tanaw
aankhen meri ubal paDin hairan rah gaya
goya ki aaj tak ka kiya raegan gaya
dariya agar nahin to rawan ju-e-KHun sahi
(804) Peoples Rate This