Ye Raat Dhalte Dhalte Rakh Gai Jawab Ke Liye
ye raat Dhalte Dhalte rakh gai jawab ke liye
ki teri aankhen jagti hain kis ke KHwab ke liye
kitab dil pe likhne ki ijazat us ne di na thi
hai sada aaj bhi waraq ye intisab ke liye
meri nazar mein aa gaya hai jab se ek sahifa-ruKH
kashish rahi na dil mein ab kisi kitab ke liye
hamari mahzar-e-amal hai zer-e-faisla abhi
khaDe hain sar jhukae kab se ehtisab ke liye
purane paD chuke kabhi ke sab tariqa-e-sitam
KHarabi aur chahiye dil-e-KHarab ke liye
samajh rahe hain sab yahan hai zindagi azab-e-jaan
magar ye bhag-dauD hai isi azab ke liye
tamam jism zaKHmon se gulab-zar ho gaya
to laD rahe hain 'anjum' ab ye kis gulab ke liye
(755) Peoples Rate This