Tesha-ba-kaf Ko Aaina-gar Kah Diya Gaya
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya
saya hai pyar ka na mohabbat ki dhup hai
diwar ke hisar ko ghar kah diya gaya
in ke har ek goshe mein sadiyan muqim hain
TuTi imaraton ko khanDar kah diya gaya
KHuddari-e-ana hai na pindar-e-zist hai
shanon ke sare bojh ko sar kah diya gaya
aangan mein har makan ke andheron ka raj hai
mahlon ki raushni ko sahar kah diya gaya
kuchh KHauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yar
KHush-gamiyon ko ranj-e-safar kah diya gaya
hairat darogh maslahat-amez par ho kya
be-barg jhaDiyon ko shajar kah diya gaya
dekha kahan hai aag ke dariyaon ka safar
jugnu uDe to raqs-e-sharar kah diya gaya
kuchh ehtiram-o-husn-e-aqidat ke josh mein
har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diya gaya
khul jaega bharam teri mizan-e-adl ka
do ek harf-e-jurm agar kah diya gaya
na-ashna-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-am hai
wo rasta bhi rahguzar kah diya gaya
yun KHush hain jaise waqiatan ho gae KHuda
majburiyon ke zer-e-asar kah diya gaya
'anjum' yahan tak aane mein kya kya guzar gai
mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diya gaya
(972) Peoples Rate This