Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna
raqs-e-junun ki garmi-e-tasir dekhna
khulta hai kaise halqa-e-zanjir dekhna
ghis ghis ke pattharon ko banaya hai aaina
dekhen wo KHwab hum ko hai tabir dekhna
harbe sab un ke un ko hi lauTa diye gae
hairat se ban gae hain wo taswir dekhna
likh di zaban-e-zaKHm mein rudad-e-zindagi
jismon pe us ki shoKHi-e-tahrir dekhna
ab to wajud-e-maqtal-o-zindan pe aa bani
ab beDiyan na tauq na zanjir dekhna
dekhe hain baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel
uTh kar zara karishma-e-tadbir dekhna
qasr-e-hayat-e-nau ki hai barud par bina
'anjum' ye paedari-e-tamir dekhna
(938) Peoples Rate This