Jo Na Hon Kuchh Tashrih-talab Kam Hote Hain

jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain

us ke ishaare sare mubham hote hain

har chehra har rang mein aane lagta hai

pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain

aise mein aa jati hai apni hi yaad

aaina hota hai aur hum hote hain

bhulne lagte hain jugnu bhi apni rah

palkon par jab qatra-e-shabnam hote hain

mauj-e-bala jab sar se guzarne lagti hai

mazlumon ke hath hi parcham hote hain

muTThi se phisle hi jate hain har phal

wasl ke lamhe tar-e-resham hote hain

kya jaane jo diwar-o-dar ka hai asir

rahon mein kya kya pech-o-KHam hote hain

koi purana KHat kuchh bhuli-bisri yaad

zaKHmon par wo lamhe marham hote hain

'anjum' jalne lagte hain har samt diye

dard ke hamle dil par paiham hote hain

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Na Hon Kuchh Tashrih-talab Kam Hote Hain In English By Famous Poet Anjum Irfani. Jo Na Hon Kuchh Tashrih-talab Kam Hote Hain is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Jo Na Hon Kuchh Tashrih-talab Kam Hote Hain for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Jo Na Hon Kuchh Tashrih-talab Kam Hote Hain in PDF.