Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah
is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah
phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah
us ke lab ko mere lab rah gae chhute chhute
main bhi nakaam chala aaya sikandar ki tarah
rang suraj ka sar-e-sham hua jata hai zard
us ka bhi ghar na ho viran mere ghar ki tarah
dard us ahd ki miras hai Darna kaisa
dard ko oDh liya karte hain chadar ki tarah
log har lamha badalte hain nazariye apne
zehn-e-insan bhi tawaif ke hai bistar ki tarah
ab ki yurish mein kahin gir hi na jae ye fasil
shor rahta hai mere dil mein samundar ki tarah
kaisa is ahd mein paiman-e-wafa log ab to
dost har sal badalte hain calender ki tarah
lafz aate hi mere lab pe laraz jate hain
haal-e-dil sunte hain ab wo kisi afsar ki tarah
wahi pabandi-e-auqat wahi mamulat
zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah
ho gaya KHak-nashin par ye jhukae na jhuka
kisi sar mein bhi na sauda ho mere sar ki tarah
'anjum' is ahd mein TuTe hue dil ke rishte
joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah
(832) Peoples Rate This