Fasil-e-jism Pe Shab-KHun Shararten Teri
fasil-e-jism pe shab-KHun shararten teri
zara si bhi nahin badli hain aadaten teri
ye zaKHm zaKHm badan aur lahu lahu ye KHwab
kitab-e-jism pe utri hain aayaten teri
hisar-e-atish-e-namrud mein ghira hun main
ab itni sust qadam kyun hain rahmaten teri
charag chand shafaq sham phul jhil saba
churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri
ye mauj mauj lahu mein tere badan ka nasha
talash karta hai har lamha qurbaten teri
ai rashk-e-sarw-o-sanobar-qadan KHiram-e-naz
ki rah dekh rahi hain qayamaten teri
meri hawas ke samundar mein madd-o-jazr nahin
pe-zawal na hon chand-chahaten teri
ukhaDne wali thi jis dam tanab sanson ki
dar aain KHema-e-dil mein bashaaraten teri
ise sambhaal, hua ja raha hai zer-o-zabar
ki dil pe lai hui sab hain aafaten teri
ada hua na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr
main kis zaban se karunga shikayaten teri
wo aankhon aankhon mein raaton ka kaTna tera
wo baaton baaton mein 'anjum' ibaadaten teri
(1064) Peoples Rate This