BaDi Farz-ashna Hai Saba Kare KHub Kaam Hisab Ka

baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka

phir uDa ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka

kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka

kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke KHwab ka

na ata-e-duKHtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas

jo chaDhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka

sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa

mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka

mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami

sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka

do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye

mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka

main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham

magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle KHat ke jawab ka

ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai KHun ki kashid hai

yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha KHana-KHarab ka

zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan

sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDi Farz-ashna Hai Saba Kare KHub Kaam Hisab Ka In English By Famous Poet Anjum Irfani. BaDi Farz-ashna Hai Saba Kare KHub Kaam Hisab Ka is written by Anjum Irfani. Read famous Poem BaDi Farz-ashna Hai Saba Kare KHub Kaam Hisab Ka for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download BaDi Farz-ashna Hai Saba Kare KHub Kaam Hisab Ka in PDF.