Aur Kuchh Yaad Nahin Ab Se Na Tab Se Puchho
aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho
meri aankhon se lahu bahta hai kab se puchho
lamhe lamhe mein hua jata hun reza reza
wajh kuchh mujh se na puchho mere rab se puchho
wo to suraj hai har ek baat ka shoala hai jawab
ru-ba-ru aa ke kaho ya ki aqab se puchho
yaad hai qissa-e-gham ka mujhe har lafz abhi
haal jis dard ka jis ranj ka jab se puchho
tai hawa kaise andheron ke samundar ka safar
ghaza-e-subh se kya chadar-e-shab se puchho
zaKHm dekho mere talwon ke na chehre ka ghubar
mujh pe kya guzri hai ye rah-e-talab se puchho
kitne sahra ki simaT aae hain sine mein mere
tishnagi meri na sukhe hue lab se puchho
yun na har chehre pe ab Dalo sawali nazren
us ke kuche ka pata tum to na sab se puchho
mujh se kya puchhte ho sare hi lamhon ka hisab
mil ke jis moD se hum bichhDe hain tab se puchho
harf-e-haq kahne mein kya kya na hue hum pe sitam
puchhna hi hai to bu-jahl o lahb se puchho
jumbish-e-lab ki tumhein bhi hai ijazat 'anjum'
baat jo puchho bahar-haal adab se puchho
(812) Peoples Rate This