Ab Kisi Andhe Safar Ke Liye Tayyar Hua Chahta Hai

ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai

ek zara der mein ruKHsat tera bimar hua chahta hai

aaKHiri qist bhi sanson ki chuka dega chukane wala

zindagi qarz se tere wo subuk-bar hua chahta hai

raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-danish

munkashif aaj wahi raaz sar-e-dar hua chahta hai

dil-e-wahshi ke bahalne ka nahin ek bhi saman yahan

mahfil-e-zohd-e-mizajaan se ye bezar hua chahta hai

dekh leni thi tujhe sina-e-afat-zadagan ki saKHti

tera har tir-e-hadaf-kar hi bekar hua chahta hai

phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makan

KHun mein wahshi-e-KHwabida bhi bedar hua chahta hai

dard-e-dil banTta aaya hai zamane ko jo ab tak 'anjum'

kuchh hua yun ki wahi dard se do-chaar hua chahta hai

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kisi Andhe Safar Ke Liye Tayyar Hua Chahta Hai In English By Famous Poet Anjum Irfani. Ab Kisi Andhe Safar Ke Liye Tayyar Hua Chahta Hai is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Ab Kisi Andhe Safar Ke Liye Tayyar Hua Chahta Hai for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Ab Kisi Andhe Safar Ke Liye Tayyar Hua Chahta Hai in PDF.