Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek MoD Dena Tha

ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha

zara si baat par ahd-e-wafa hi toD dena tha

mahakta tha badan har waqt jis ke lams-e-KHush-bu se

wahi gul-dasta dahliz-e-KHizan par chhoD dena tha

shikast-e-saz-e-dil ka umr bhar matam bhi kya karte

ki ek din hanste hanste saz-e-jaan hi toD dena tha

safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete

bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha

ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aaKHir

lahu ki aanch mein TuTe dilon ko joD dena tha

wo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paiman ka

kitab-e-zindagi ke is waraq ko moD dena tha

banaya hi nahin hum ne kabhi ye soch kar 'anjum'

ki gautam ki tarah ek din hamein ghar chhoD dena tha

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek MoD Dena Tha In English By Famous Poet Anjum Irfani. Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek MoD Dena Tha is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek MoD Dena Tha for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek MoD Dena Tha in PDF.