Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar
mutmain baiTha hun KHud ko jaan kar
aur kya milta KHuda ko man kar
mere dushman ki sharafat dekhiye
dar karta hai mujhe pahchan kar
zehn-o-dil tafriq ke qail nahin
kya karun apna paraya jaan kar
dosto rudad-e-manzil phir kabhi
rasta chup tha mujhe pahchan kar
zindagi se ab bhi samjhauta nahin
ji liye teri zarurat jaan kar
apne andar raste milne lage
ruk gaya tha KHud ko manzil jaan kar
sher to 'anjum' ata-e-ghaib hai
faeda kya lafz-o-mani chhan kar
(999) Peoples Rate This