Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad
ban gai naz mohabbat talab-e-naz ke baad
aur bhi aise kai raaz hain is raaz ke baad
qadr kya soz-e-tajalli ki sahar saz ke baad
Thahar sakti nahin shabnam meri parwaz ke baad
apni manzil to bana lete hain duniya wale
main kahan jaun teri jalwa-gah-e-naz ke baad
main hi duniya ki sada ban ke nahin hun KHamosh
KHud bhi chup ho gai duniya meri aawaz ke baad
log aaghaz se karte hain talash-e-anjam
main ne anjam na socha kabhi aaghaz ke baad
main gunahgar-e-nasheman hun na paband-e-qafas
fitratan kuchh to sukun chahiye parwaz ke baad
is mohabbat mein hai tauhin-e-mohabbat 'anjum'
wo agar mujh ko pukaren meri aawaz ke baad
(1779) Peoples Rate This