Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho
guzrenge tere daur se jo kuchh bhi haal ho
KHud kaun chahta hai ki jina muhaal ho
main ne tamam-umr guzari hai dil ke sath
lao mere huzur jo amr-e-muhaal ho
ye soch kar fareb-e-mohabbat mein aa gae
hum itne KHush kahan jo natija malal ho
main jaise ajnabi koi apne dayar mein
tum jaise mere zehn mein koi sawal ho
dil ke muamalat hi yaro ajib hain
apni KHabar nahin hai to kis ka KHayal ho
hum ehtiyat-e-dida-o-dil se guzar chuke
aa jae samne jo KHuda-e-jamal ho
soz-e-gham-e-hayat se 'anjum' gurez kar
loha nahin hai dil jo tapane se lal ho
(2551) Peoples Rate This