Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_051b6dba063d5eb30305bc7931fbb789, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko - Anjum Barabankvi Poetry In English - Darsaal

Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko

zahar lagta hai ye aadat ke mutabiq mujh ko

kuchh munafiq bhi batate hain munafiq mujh ko

din chaDhe dhup ki baaten nahin sunta koi

chandni-raat pukare tera aashiq mujh ko

kashtiyan reshmi KHwabon ki jala kar jaana

kis ki chahat ne bana rakkha hai 'tariq' mujh ko

aap ke nam pe main had mein raha hun lekin

aap ke nam pe duniya ne kiya diq mujh ko

main ne suraj ki tarah KHud ko banaya jis din

dekhne aaenge ye maghrib-o-mashriq mujh ko

aap kahte to zara dil ko tasalli hoti

kahne walon ne kaha aashiq-e-sadiq mujh ko

(1191) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko In English By Famous Poet Anjum Barabankvi. Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko is written by Anjum Barabankvi. Read famous Poem Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko for youth and Student by Anjum Barabankvi. Free Download Zahar Lagta Hai Ye Aadat Ke Mutabiq Mujhko in PDF.