Parchhaiyon Ke Shahr Zamin Par Basa Diye
parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye
badli haTa ke chand ne jangal saja diye
kitne hi daeron mein baTa markaz-e-KHayal
ek but ke hum ne saikaDon paikar bana diye
TuTe kisi tarah to fazaon ka ye jumud
aandhi ruki to hum ne nasheman jala diye
ab raston ki gard se aTte nahin badan
naqsh-e-qadam asir-e-gul-e-tar bana diye
ek chand ki talash mein ghume nagar nagar
lauTe to aasman ne sitare bujha diye
bazi to hum ne aaj bhi haari nahin huzur
nazren bacha ke aap ne mohre uTha diye
Thahri hui hawa mein bhaDakte nahin charagh
jhonkon ne lau baDhai diye jagmaga diye
'anjum' labon mein jazb huin talKHiyan tamam
murjha gai bahaar jo hum muskura diye
(768) Peoples Rate This