Banae Sab Ne Isi KHak Se Diye Apne
banae sab ne isi KHak se diye apne
falak se TuT ke shams-o-qamar nahin aae
gali gali ho jahan jannaton ka gahwara
hamari rah mein aise nagar nahin aae
har ek moD se puchha hai manzilon ka pata
safar tamam hua rahbar nahin aae
ghamon ke bojh se TuTi hai zindagi ki kamar
badan pe zaKHm kahen chaara-gar nahin aae
gulon ki aanch ne jhulsa diya bahaaron ko
chaman ko luTne barq-o-sharar nahin aae
hue hain sina-e-shab mein jo dafn afsane
lab-e-sahar pe kabhi bhul kar nahin aae
chamak uThe hain thapeDon ki choT se qatre
sadaf ki god mein 'anjum' guhar nahin aae
(685) Peoples Rate This