Us But Ko Zara Chhu Ke To Dekhen Ki Wo Kya Hai
us but ko zara chhu ke to dekhen ki wo kya hai
patthar hai ki ek mom ke sanche mein Dhala hai
us ne mujhe apna kabhi samjha nahin lekin
jis samt gaya hun wo mere sath raha hai
jangal hai darindon ka koi sath nahin hai
kis jurm ki padash mein ban-bas mila hai
tujh par bhi har ek samt se pathraw hua hai
mujh par bhi har ek samt se pathraw hua hai
mujh ko teri aawaz ka saya hi bahut hai
ye bahs hai be-kar ki tu mujh se juda hai
chehre jo hain kashkol hain ajsam khanDar hain
har shaKHs yahan waqt ka aaina bana hai
har hath mein hai gyan ki pustak magar 'anjum'
is daur ka insan bhi bu-jahl raha hai
(636) Peoples Rate This