Jo Zauq-e-nazar Ho To Turki Mein Aa Kar

jo zauq-e-nazar ho to turki mein aa kar

hayat-e-azima ke aasar dekho

laga kar nai chashmak-zani ham-saron se

laqab jis ka tha mard-e-bimar dekho

miTane pe jis ke tula tha zamana

ubharta hai wo turk-e-tatar dekho

ba-izhaar-e-jurat ye zor-e-sadaqat

hue kis tarah zer aghyar dekho

ba-sad shan jata hai antakya ko

ataturk ka KHal-e-jarrar dekho

jo soe hue the jo khoe hue the

kiya un ko yak-laKHt bedar dekho

sambhalti hain gir kar chamakti hain miT kar

ye hain zinda qaumon ke atwar dekho

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Zauq-e-nazar Ho To Turki Mein Aa Kar In English By Famous Poet Anisa Begum. Jo Zauq-e-nazar Ho To Turki Mein Aa Kar is written by Anisa Begum. Read famous Poem Jo Zauq-e-nazar Ho To Turki Mein Aa Kar for youth and Student by Anisa Begum. Free Download Jo Zauq-e-nazar Ho To Turki Mein Aa Kar in PDF.