Ru-e-gul Chehra-e-mahtab Nahin Dekhte Hain
ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain
hum teri tarah koi KHwab nahin dekhte hain
sina-e-mauj pe kashti ko rawan rakhte hain
gird apne koi gardab nahin dekhte hain
tishnagi mein bhi wo paband-e-qanaat hain ki hum
bhul kar bhi taraf-e-ab nahin dekhte hain
sar bhi maujud hain shamshir-e-sitam bhi maujud
shahr mein KHun ka sailab nahin dekhte hain
aa gae hain ye mere shahr mein kis shahr ke log
guftugu mein adab-adab nahin dekhte hain
aana jaana unhin galiyon mein abhi tak hai magar
ab wahan majma-e-ahbab nahin dekhte hain
kis chaman mein hain ki mausam to gulon ka hai magar
ek bhi shaKH ko shadab nahin dekhte hain
is pe hairan hain KHaridar ki qimat hai bahut
mere gauhar ki tab-o-tab nahin dekhte hain
ho gae sare bala-KHez samundar payab
ab safina koi gharqab nahin dekhte hain
(881) Peoples Rate This