Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai
isi zamin pe isi aasman mein rahna hai
tera asir hun tere jahan mein rahna hai
main ek pal teri duniya mein kya qayam karun
ki umr bhar to mujhe raftagan mein rahna hai
mein jaanta hun bahut saKHt dhup hai lekin
safar mein hun to saf-e-rah-rawan mein rahna hai
utar gai hai to sine se mat nikal use
ki mere KHun ko teri sinan mein rahna hai
na mere hath se chhuTna hai mere neze ko
na tere tir ko teri kaman mein rahna hai
khule rahen jo khule hain qafas ke darwaze
wo kab chhuTenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai
to phir ye zindagi-e-jawedan ka milna kya
jo har nafs nafs-e-raegan mein rahna hai
(735) Peoples Rate This