Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam
pathrili si sham mein tum ne aise yaad kiya jaanam
sari raat tumhaari KHatir main ne zahr piya jaanam
suraj ki manind bana hun reza reza bikhra hun
ab jiwan ka sar-chashma hun waise KHub jila jaanam
tum ne mujh mein jo kuchh khoya us ki qimat tum jaano
main ne tum se jo kuchh paya hai wo besh-baha jaanam
tum ko bhi pahchan nahin hai shayad meri uljhan ki
lekin hum milte rahte to achchha hi rahta jaanam
ye sahab jin se mil kar sab ka ji KHush ho jata hai
raat gae tak un ke kamre mein jalta hai kya jaanam
rakh pao to rok lo hum ko gahrai ke basi hain
bahte pani ke qatron mein hota hai dariya jaanam
dard-e-judai mein likkhe hain sher tumhaare nam bahut
tum mere ghar mein rahtin to kya aisa hota jaanam
(751) Peoples Rate This