Mera Har Tir Nishane Pe Na Pahuncha AaKHir
mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir
dar-safar mein bhi Thikane pe na pahuncha aaKHir
totli umr mein jo bachcha zara mushfiq tha
kuchh baDa ho ke dahane pe na pahuncha aaKHir
ji ko samjhata hun qismat mein likha tha so hua
kuchh sambhal kar bhi bahane pe na pahuncha aaKHir
ek gham hota to sine se laga leta koi
gham ka ambar uThane pe na pahuncha aaKHir
phal katarne ke liye Dar utar aati thi
be-samar koi bulane pe na pahuncha aaKHir
shahr kuchh chhuT gae gard-e-safar lipTi rahi
koi rudad sunane pe na pahuncha aaKHir
(804) Peoples Rate This