Jahan Dar Tha Wahan Diwar Kyun Hai
jahan dar tha wahan diwar kyun hai
alag naqshe se ye meamar kyun hai
KHuda aazad tha hakim ki had se
KHuda ke shahr mein sarkar kyun hai
bahut aasan hai mil-jul ke bahna
nadi aur dhaar mein paikar kyun hai
hazaron rang ke phulon se khinch kar
bana hai shahd to bekar kyun hai
kisi bhi samt se aa kar parinde
sajaen jhil to aazar kyun hai
teri mahfil mein sab baiThe hain aa kar
hamara baiThna dushwar kyun hai
bana kar rakh tu ghar achchha rahega
tu malik ban kirae-dar kyun hai
tumhaare sath hum aage baDhe the
hamari piTh par talwar kyun hai
KHuda se kya raqabat hai sanam ki
rah-e-masjid nazar mein KHar kyun hai
ibarat mein na kar tahrif beja
hamare nam se bezar kyun hai
parinde ko jo mauqa do dikha de
bandhe par ka safar lachaar kyun hai
paDosi ho to phal ya phul late
tumhaare hath mein hathiyar kyun hai
zamin phaili hui hai aasman tak
bas ek TukDe pe yun takrar kyun hai
(715) Peoples Rate This