Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue
is shahr ke log ajib se hain ab sab hi tumhaare asir hue
jab jaan pe baraste the patthar us waqt hamin dil-gir hue
kuchh log tumhaari aankhon se karte hain talab hire moti
hum sahra sahra Dub gae ek aan mein jogi faqir hue
tum dard ki lazzat kya jaano kab tum ne chakhe hain zahr-e-subu
hum apne wajud ke shahid hain sangsar hue shamshir hue
ye pahron pahron soch-nagar raaton raaton be-KHwab lahar
phir kaise kaTega dhup-safar jab pir luTi jagir hue
ek umr guzari hai yun hi sayon ke taaqub mein hum ne
Tuk baiTh gae phir chal nikle hans bol liye dil-gir hue
kuchh shahr tumhaara tang bhi tha kuchh tum bhi the kamzor zara
patthar ki nigahon ke Dar se tum apne hi ghar mein asir hue
(721) Peoples Rate This