Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d4f80d175dc0ad106b14e6f21c1f02e2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae - Anees Ansari Poetry In English - Darsaal

Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae

bhar nahin paya abhi tak zaKHm-e-kari hae hae

dil ko thame hain lahu phir bhi hai jari hae hae

dard ka ehsas ghaT jata agar chahe koi

ho rahi hai aur ulTe dil-figari hae hae

jism to pahle hi zaKHmi tha magar baqi tha dil

ab adu ke hath mein KHanjar hai bhaari hae hae

hijr mein waise bhi aati hai musibat jaan par

par raqibon ki alag hai KHanda-kari hae hae

reza reza kar diya zalim ne sare jism ko

uD rahi hai KHak pairon par hamari hae hae

dil girafta ho ke chup baiThe hain shayad is tarah

rahm aae dekh kar surat hamari hae hae

dast-e-qatil said banne se nahin rukta kabhi

hai abas be-chaargi-o-ah-o-zari hae hae

jo parinde uD nahin sakte ab un ki KHair ho

aane wala hai isi jaanib shikari hae hae

rah se patthar uTha kar su-e-zalim phenk de

gar nahin tiron ki tujh mein zarb-kari hae hae

ek qibla ek azan aur ek majlis ek imam

kash aa jae samajh mein ye tumhaari hae hae

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae In English By Famous Poet Anees Ansari. Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae is written by Anees Ansari. Read famous Poem Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae for youth and Student by Anees Ansari. Free Download Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae in PDF.