Shisha Hi Chahiye Na Mai-e-arghawan Mujhe
shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe
be-mange jo mile wahi kafi hai han mujhe
ai shoKHi-e-nigah zara ehtiyat rakh
is bazm mein hai pas-e-hadis-e-butan mujhe
yarab mere gunah kya aur ehtisab kya
kuchh di nahin hai KHizr si umr-e-rawan mujhe
chunta tha rah-e-zist ke KHaron ko main hanuz
hai sab abas ajal ne kaha na-gahan mujhe
lagta hai ek hujum mein gum hai mera wajud
Dasti hain phir bhi kis liye tanhaiyan mujhe
un ke liye hain atlas-o-kamKHwab ke sarir
tan Dhankne ko kafi hain kuchh dhajjiyan mujhe
kya kya sitam zamane ke main sah gaya 'anis'
marne ke baad yaad karoge miyan mujhe
(837) Peoples Rate This