Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6afdd1b0b5632c78a5611bd0c2109726, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe - Anees Ahmad Anees Poetry In English - Darsaal

Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe

ab gham ka koi gham na KHushi ki KHushi mujhe

aaKHir ko ras aa hi gai zindagi mujhe

wo qatl kar ke mujh ko pasheman hue to kya

lauTa sakenge phir na meri zindagi mujhe

sare jahan mein hoti hai amn-o-aman ki baat

lekin nazar na aai kahin aashti mujhe

neza uThae phirti hai har rah mein qaza

har moD par hiras mili zindagi mujhe

main ghunT ghunT jam se bahlaun ji ko kya

be-KHauf kash kar hi de tishna-labi mujhe

ek lazzat-e-gunah thi kya lazzat-e-gunah

ta-umr ras aai na phir bandagi mujhe

kuchh aarzu nahin ki farishta banun 'anis'

kafi hai han jo log kahen aadmi mujhe

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe In English By Famous Poet Anees Ahmad Anees. Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe is written by Anees Ahmad Anees. Read famous Poem Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe for youth and Student by Anees Ahmad Anees. Free Download Ab Gham Ka Koi Gham Na KHushi Ki KHushi Mujhe in PDF.