Tishnagi
uTho hayat pe KHanjar ki dhaar guzri hai
lahu ki bunden Tapakti hain zaKHmi ruhon se
siyah raushni mein aur jag uThi wahshat
lahu mein ghul gai talKHi dilon pe naqsh bane
ye sans sine mein ghaTti hui mi lagti hai
ye roz-o-shab ka tafakkur ye sari umr ka ghun
hayat ub gai adl ke andheron se
kahan tak adl ki zanjir khinchte jaen
sadaen lauTti hain baam-o-dar se Takra kar
inan-e-mulk paDi hai hinai hathon mein
koi to haq ki kiran phuTe zulm ki shab mein
nigah-e-amn-o-aman tishana-bar hai ab tak
(1774) Peoples Rate This