Kya Kahiye Ru-e-husn Pe Aalam Naqab Ka

kya kahiye ru-e-husn pe aalam naqab ka

munh par liya hai mahr ne daman sahab ka

taswir main ne mangi thi shoKHi to dekhiye

ek phul us ne bhej diya hai gulab ka

ab kya sunaen TuTe hue dil ki dastan

aahang be-maza hai shikasta raubab ka

itne fareb khae hain dil ne ki ab mujhe

hota hai ju-e-ab pe dhoka sarab ka

tum chandni ho phul ho naghma ho sher ho

allah-re husn-e-zauq mere intiKHab ka

allah bolte nahin to muskura hi do

main kab se muntazir hun tumhaare jawab ka

sab waqiat hain magar allah-re inqalab

aaj un pe hai guman kasi rangin KHwab ka

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahiye Ru-e-husn Pe Aalam Naqab Ka In English By Famous Poet Andaleeb Shadani. Kya Kahiye Ru-e-husn Pe Aalam Naqab Ka is written by Andaleeb Shadani. Read famous Poem Kya Kahiye Ru-e-husn Pe Aalam Naqab Ka for youth and Student by Andaleeb Shadani. Free Download Kya Kahiye Ru-e-husn Pe Aalam Naqab Ka in PDF.