Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle
sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha mujrim ko KHata se pahle
ashk aankhon mein hain honTon pe buka se pahle
qafla-e-gham ka chala bang-e-dara se pahle
ye to sach hai ki tujhe tark-e-jafa ka haq hai
han magar punchh to le ahl-e-wafa se pahle
uD gaya jaise yakayak mere shanon par se
wo jo ek bojh tha taslim-e-KHata se pahle
han yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn
ek patthar tha mohabbat ki jila se pahle
aankh jhapka bhi to de dil ko churane wale
ek tabassum nigah-e-hosh-ruba se pahle
lazzat-e-zist koi us ke muqabil ki nahin
wo jo ek kaif sa tari hai KHata se pahle
ibtida hi se na de zist mujhe dars us ka
aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle
dar-e-mai-KHana se aati hai sala-e-taza
aaj sairab kiye jaenge pyase pahle
raaz-e-mai-noshi-e-'mulla' hua ifsha warna
kya wo mad-mast na tha laghzish-e-pa se pahle
(1048) Peoples Rate This