Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai
rah-rawi hai na rahnumai hai
aaj daur-e-shikasta-pai hai
aql le aai zindagi ko kahan
ishq-e-nadan teri duhai hai
hai ufuq dar ufuq rah-e-hasti
har rasai mein na-rasai hai
shikwe karta hai kya dil-e-nakaam
aashiqi kis ko ras aai hai
ho gai gum kahan sahar apni
raat ja kar bhi raat aai hai
jis mein ehsas ho asiri ka
wo rihai koi rihai hai
karwan hai KHud apni gard mein gum
panw ki KHak sar pe aai hai
ban gai hai wo iltija aansu
jo nazar mein sama na pai hai
barq nahaq chaman mein hai badnam
aag phulon ne KHud lagai hai
wo bhi chup hain KHamosh hun main bhi
ek nazuk si baat aai hai
aur karte hi kya mohabbat mein
jo paDi dil pe wo uThai hai
nae safi mein ho na aalaish
yahi 'mulla' ki parsai hai
(827) Peoples Rate This