Nigah-o-dil Ka Afsana Qarib-e-iKHtitam Aaya
nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya
hamein ab is se kya aai sahar ya waqt-e-sham aaya
zaban-e-ishq par ek chiKH ban kar tera nam aaya
KHirad ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya
uThana hai jo patthar rakh ke sine par wo gam aaya
mohabbat mein teri tark-e-mohabbat ka maqam aaya
ise aansu na kah ek yaad-e-ayyam-e-guzishta hai
meri umr-e-rawan ko umr-e-rafta ka salam aaya
zara lau aur dil ki tez kar sila sa ye shoala
na raushan kar saka ghar ko na mahfil hi ke kaam aaya
mukammal tabsira karta hua ayyam-e-rafta par
nigah-e-be-suKHan mein ek ashk-e-be-kalam aaya
tawana ko bahana chahiye shayad tashaddud ko
phir ek majbur par shoridgi ka ittiham aaya
na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare
tab ek KHurshid itraata hua baala-e-baam aaya
barahman aab-e-ganga shaiKH kausar le uDa us se
tere honTon ko jab chhuta hua 'mulla' ka jam aaya
(826) Peoples Rate This