Meri Baaton Pe Duniya Ki Hansi Kam Hoti Jati Hai
meri baaton pe duniya ki hansi kam hoti jati hai
meri diwangi shayad musallam hoti jati hai
tawajjoh ki nazar meri taraf kam hoti jati hai
main KHush hun ishq ki buniyaad mohkam hoti jati hai
zarurat kuchh bhi kahne ki bahut kam hoti jati hai
meri surat hi ab shauq-e-mujassam hoti jati hai
kabhi tu ne pukara tha mujhe kuchh shak sa hota hai
mere kanon mein ek aawaz paiham hoti jati hai
mujhe samjhane aae hain ki main rone se baz aaun
mere samjhane walon ki nazar nam hoti jati hai
abhi sun lo to shayad sun sako tum dil ke naghmon ko
ki ab us ki sada kuchh KHud-ba-KHud kam hoti jati hai
wahi dil hai magar ab wo nahin agli si betabi
wahi KHun hai magar raftar maddham hoti jati hai
tujhe mazhab miTana hi paDega ru-e-hasti se
tere hathon bahut tauhin-e-adam hoti jati hai
nashat-e-zist ki zamin hai ab yaad-e-mohabbat hi
yahi KHud ishq ke zaKHmon ka marham hoti jati hai
mohabbat hi se kholo tum dil-e-'mulla' ka darwaza
yahi is ke liye ab ism-e-azam hoti jati hai
(848) Peoples Rate This