Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le
meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
tujhe dil to kab ka main de chuka use gham bana ke bhi dekh le
ye to Thik hai ki teri jafa bhi ek ata mere waste
meri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskura ke bhi dekh le
mera dil alag hai bujha sa kuchh tere husn par bhi chamak nahin
kabhi ek markaz-e-zist par unhen sath la ke bhi dekh le
mere shauq ki hain wahi ziden abhi lab pe hai wahi iltija
kabhi is jale hue tur par mujhe phir bula ke bhi dekh le
na miTega naqsh-e-wafa kabhi na miTega han na miTega ye
kisi aur ki to majal kya use KHud miTa ke bhi dekh le
kisi gul-e-fasurda-e-bagh hun mere lab hansi ko bhula chuke
tujhe ai saba jo na ho yaqin mujhe gudguda ke bhi dekh le
mere dil mein tu hi hai jalwa-gar tera aaina hun main sar-basar
yunhi dur hi se nazar na kar kabhi pas aa ke bhi dekh le
mere zarf-e-ishq pe shak na kar mere harf-e-shauq ko bhul ja
jo yahi hijab hai darmiyan ye hijab uTha ke bhi dekh le
ye jahan hai ise kya paDi hai jo ye sune teri dastan
tujhe phir bhi 'mulla' agar hai zid gham-e-dil suna ke bhi dekh le
(841) Peoples Rate This