Kaam Ishq-e-be-sawal Aa Hi Gaya

kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya

KHud-ba-KHud us ko KHayal aa hi gaya

tu ne pheri lakh narmi se nazar

dil ke aaine mein baal aa hi gaya

do meri gustaKH nazron ko saza

phir wo na-gufta sawal aa hi gaya

zindagi se laD na paya josh-e-dil

rafta rafta e'tidal aa hi gaya

husn ki KHalwat mein darraata hua

ishq ki dekho majal aa hi gaya

gham bhi hai ek parda-e-izhaar-e-shauq

chhup ke aansu mein sawal aa hi gaya

wo ufuq par aa gaya mehr-e-shabab

zindagi ka mah-o-sal aa hi gaya

be-KHudi mein kah chala tha raaz-e-dil

wo to kahiye kuchh KHayal aa hi gaya

hum na kar pae KHata buzdil zamir

le ke taswir-e-maal aa hi gaya

ibtida-e-ishq ko samjhe the khel

marne jine ka sawal aa hi gaya

lakh chaha hum na len gham ka asar

ruKH pe ek rang-e-malal aa hi gaya

bach ke jaoge kahan 'mulla' koi

hath mein le kar gulal aa hi gaya

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Ishq-e-be-sawal Aa Hi Gaya In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Kaam Ishq-e-be-sawal Aa Hi Gaya is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Kaam Ishq-e-be-sawal Aa Hi Gaya for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Kaam Ishq-e-be-sawal Aa Hi Gaya in PDF.